Advertiser-friendly Content Guidelines aur Yellow Monetization Icons

Advertiser-friendly Content Guidelines aur Yellow Monetization Icons

Agar aap YouTube Partner Program mein shaamil hain aur aapko ads se kamaai karni hai, to aapka content, advertiser-friendly content guidelines ke mutaabiq hona chaahiye. Advertisers, potential customers se connect karne ke liye YouTube use karte hain. Unke liye yah important hota hai ki unke ads aise content ke saath dikhein jo unke brand se match karta ho. Isliye, hamne advertiser-friendly content guidelines banaai hain, taaki yah pakka ho sake ki brands ke liye apni target audience tak pahunchne ke liye YT ek safe platform bana rahe. Saath hi, creators ko zyaada paise kamaane ke mauke milen. Is video mein, hum bataayenge ki advertiser-friendly content guidelines kaise kaam karti hain, monetization status kaise dekha jaa sakta hai, aur har status icon kaa kya matlab hai. Saath hi, yellow icon status ke baare mein khaas taur par bataayenge. Zyaada jaankari ke liye, Help Center ke ye articles padhein: https://support.google.com/youtube/an... https://support.google.com/youtube/an... https://support.google.com/youtube/an... https://support.google.com/youtube/an... https://support.google.com/youtube/an... https://support.google.com/youtube/an... New videos dekhne ke liye subscribe karein aur bell icon dabaayein: https://goo.gl/So4XIG ► Hamaare Help Center par jaayein: https://goo.gl/fBzr7